Sab se pahlay samjlay ki nazr e bud misl e zahar hain.jisko Allah ta’al ne b’az insano ki aankhon me paida kar diya.jis tarah bichhu ka dank hain,aur sanp k munh me zahar de diya hain.esi tarha kuch insano ki ankhon me zaharili taseer paida kardi gayi hain.nazar sheesha to kya pattha ko tod deti hain.dariyaon k pani ko sukha deti hain.aur insan ko jab lag jati hain to kabristan me pahocha deti hain.nazar jab haray bharay baago ko lagti hain to darakhton ko sukha deti hain.aisa nahi ki nazar sirf insano ko laga karti hain,ye insan makaan dukaan,bag khet,karkhana,aamdani,paidavar,maal daulat,garz ki har chiz ko lag jati hain.
NAZAR E BAD KI ALAMATAY
Ye hain ki jab insan ko lagti hain to achanak bimar ho jata hain,badan me susti bhar jati hain,dimag kaam nahi kar pata,yaddast kamzor parh jati hain,badan me kamzori aajati hain,chid chidapan aajata hain,gumsun rahta hain,wo khud nahi samjpata k i usay kya huva hain.jab karobar me lagti hain to chalta huva karobar ruk jata hain aur din b din sell girti jati hain,aur dukan ya showroom band karnay ki naubat aajati hain.
agar janwar ko lagay to janwar dudh dena band kardeta hain,bimar ho jata hain,aur agar waqt pe elaj na kiya jaen to maut bhi ho jati han.
agar bacho ko lagti hain to bacha rota rahta hain,zid karta hain,na khelta hain na thik se sota hain aur na kahin chain se baithta hain.bukhar bhi aajta hain.Rupay/daulat ko nazar lagti hain to barkat khatm ho jati hain aur rupay ki tangi hoti hain,kharchay barh jatay hain,income kam ho jati hain,yahan tak ki sari bachat bhi khatm hojati hain aur insan qarz me mubtila ho jata hain.jaisay rupay aur uskay darmiyan ek dushmani si ho jati hain.
aisy kai alamatay hain.aur ye sahar jadu se milti julti alamatay hain.to kisi amil se rabta karnay se pahlay meri es post me diye qurani w ahadis ki duaon ka sahara le ke khud elaj karay aur dekhay ki fark ho raha hain ya nahi?agar 40 din kisi amal ko karay aur koi fark na ho to kisi achay amil se rabta kar saktay hain.bahot mumkin hain ki aap jisay sahar jadu ka mamla samj rahay hain wo nazar e bad ki tabahi ho.
sahar ki aur nazar ki alamatay ek si hain,esliye aap ko lagay ki shayid kisi ne jadu tona kiya hain aur aap ek musibat se dusri me gir jaen,kyu k amil aksar hazrat bagair fees to kaam nahi karaengay?
sahar aur nazar ki alamatay kuch miti julti kyu?esay main yahan samjanay ki koshish karta hun,
Nazar e bad lagana bhi ek amal sifly hain.aur ye baqaeda sikha jata hain,aur hamaray gaon me to ye aam hain gair muslim me jo ye sifli amal kartay hain.hamaray gaon me ek kaum hain,gair muslim jiska bacha bacha sifli ka mahir hain.agar parinday ko ek nazar dekhlay to wo zameen par gir parhta hain.agar kisi k ghoday ko ek nazar dekhlay to ek saat me wo mar jata hain.aur ye log apnay ek aur amal k liye bhi mash'oor hain ki wo ek post card me ibarat likh detay hain agar usay koi bar bar parhaega to wo sakht bimar ho jata hain.aur agar koi kisi k jodo me ya sinay me hath me dard paida karna chahta hain to wo bhi kar detay hain.
enlogon se hi pata chala hain ki nazar e bad ka amal sikhnay k liye wo khas din se sub'ah apni potti ko ek neem ki sali se chakhtay hain,kuch din k es amal se usmay nazar e bad ki quwat e bad paida ho jati hain aur wo jisko dam bhar dekhlay to usay lag jati hain.
aur ye bhi mujay pata chala ki kuch insan me bhi ye nazar e bad ki quwat e bad apnay aap paida ho jati hain wo kyu?wo bichara to aisa koi amal nahi karta phir bhi uski nazar sab ko lag jati hain.jisay aam tor par nazar ka bhaari kaha jata hain.ye us sakhs ko hota hain jisay bachpan me pait me kidaay [kaddu danay] hotay hain.pait k kiido ki khurak bhi insan k aat me rahi potii hi hain aur jiskay pait me ek lambay waqt tak ye kiday rahtay hain to us insan ki nazar me bhi ye asrat e bud paida ho jata hain aur uski nazar bhari ho jati hain.aisay insan ko jab bhi koi chiz maloom ho to
ماشاء اللہ ولا قوة الا باللہ
kahna chahiye.essay nazar e bad ka asar zael ho jata hain.Nazar ka lagna haq hain aur
Esliye
Allah rabbul izzat ne nazar se hifazat k liye apnay habib sallallahu
alayhi w sallam k tufayl eska elaj bhi zahir farmaya hain.jaisay ki
hazrat khwaja hasan basri radiallahu anhu ne irshad farmaya hain ki agar
kisi shakhs ko apnay ya apnay maal wagaira ko nazar lagnay ka andesha
ho to surah e noon ki aakhri aayat 3 bar parh kar andesha wali chiz pe
dam karay…wo aayat ye hain…
وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ
وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِّلْعَالَمِينَ
yakadu allazeena kafaroo layuzliqoonaka biabsarihim lamma samiAoo alzzikra wayaqooloona innahu lamajnoonun Wama huwa illa thikrun lilAAalameena
Aur koi chiz bahot acchi maloom ho chahay wo maal ho ya aulad ya makaan ya baag ya khait ya koi karobar ho baherkaif usi waqt…
ماشاء اللہ ولا قوة الا باللہ
masha Allah wala quwat ila billah.
parh liya jaen.kyu ki eskay parhnay se Allah ta'ala nazar e bud ki asar ko zael kar deta hain,taseer ko rok deta hain.
aur agar kisi shakhs ko maloom ho jaen ki uski nazar bahot sakht hain to usay chahiye ki wo aisy kisi chiz ko nazar bhar dekhay hi nahi.aur kabhi dekh bhi layto usi waqt usko ye dua parhni chahiye...
اللهّم بارك عليه
Allahumma barik alayh
hazrat shaikh abul qasim rahmatullah alayh ne Sirat me byaan kiya hain ki ek baar ek larhka sakht bimar huva ki marnay k kareeb ho gaya tha to ek roz mainay nabi e akram sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ko khwab me dekha ki aap sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ne farma rahay hain ki Tu aayaat e shifa se abtak kyu gafil raha?[matlab en aayaat k zariye elaj kyu nahi kiya?]
AAYAAT AS-SHIFA YE HAIN....
وَيَشْفِ صُدُورَ قَوْمٍ مُّؤْمِنِينَ
wa yashfi sudoora qawmin mumineena
(at-Tawba, 9:14)
يَا
أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءتْكُم مَّوْعِظَةٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَشِفَاء
لِّمَا فِي الصُّدُورِ وَهُدًى وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ
َيخْرُجُ مِن بُطُونِهَا شَرَابٌ مُّخْتَلِفٌ أَلْوَانُهُ فِيهِ شِفَاء لِلنَّاسِ
yakhruju min butooniha sharaabun mukhtalifun alwaanuhu feehi shifaun lin-naas
(an-Nahl, 16:69)
وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاء وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ
Wa nunazzilu mina al-qurani ma huwa shifaun wa rahmatun lil-mumineen(an-Najm, 17:82)
وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشْفِينِ
Wa idha maridtu fahuwa yashfeeni
(ash-Shu`ara, 26:80)
قُلْ هُوَ لِلَّذِينَ آمَنُوا هُدًى وَشِفَاء
qul huwa lil-ladheena amanoo hudan wa shifaun
(al-Fussilat, 41:44)
*AUR YE AAYAT E SHIFA HAR MARZ CHAHAY CHOTA YA BARHA KOI BHI LA ELAJ MARZ KA ELAJ HAIN.UPAR LIKHI KISI BHI TARKEEB SE ELAJ KIYA JAEN,INSHALLAH HAR MARZ SE SHIFA HASIL HOGI.
BACHO KO NAZAR LAGNA:
Jo bachay sehatmand aur khubsoorat hotay hain wo aksar nazar e bud ka shikar hotay hain,aur aksar apnay gharwalon ki nazar lag jati hain.eska ek elaj to upar likh diya ki kisi bhi chiz ko ya aisay bachay ko dekh kar "masha Allah wala quwat ila billah." kahay.
chotay bachho ko nazar lag jaen to 3 bar su.kausar parh kar chehray pe dam kiya jaen.aisa 3 din tak karay,inshallah essay bhi asar zael ho jata hain.
MAKAN W DUKAN KO NAZAR SE BACHANA:
agar apnay makan par ya dukaan upar "MASHALLAH"khubsoorati se likhwaya jaen ki logon ki nazar uspay parhay to inshallah makaan w duakan buri nazar se mahfooz rahti hain.
KHUD KO YA KISI GHAR K FARD KO NAZAR LAGNA:
upar mainay tareeqa bataya hain ki kis tarha se nazar dur ki ja sakti hain.ek aur tareeqa nazar ko dur karnay ka ye hain ki ek sufaid kagaz pe khanay k zard rang se ek bar surah e fateha ek bar aaytul kursi aur aur 4ro Qul ek ek bar likh kar usay mariz k galay me taweez me rakh kar pahnaye aur sub'ah w sham 3 din tak ye hi surah ya mariz pe dam ki jaen ya pani pe dam karkay pilaya jaen.
*esi tarha aap ye dhaga bhi bana kar estemal kar saktay hain wo yun ki kisi sabz dhagay pe ek girah de aur ek bar ye aayat par kar dam karay aur girah laga de..
وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ
su.Qalam, 51
HAMELA W BACHHO KO NAZAR E BAD SE MAHFOOZ RAKHNAY K LIYE:
En aayaat sharifa ko zafran w arq gulab se ya khanay k zard rang se en ayaat ko likh kar momjama karkay hamela k sidhay bazu pe bandh de to hamela w uskay shikam ka beta nazar e bad se mahfooz rakhta hain.bachay ki wiladat k bad esay bachay k galay me pahnaye to wo bhi har nazar k khatrat se mahfooz rahta hain.
wo aayat e sharifa ye hain...
إِذْ
قَالَتِ امْرَأَةُ عِمْرَانَ رَبِّ إِنِّي نَذَرْتُ لَكَ مَا فِي بَطْنِي
مُحَرَّرًا فَتَقَبَّلْ مِنِّي إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
فَلَمَّا
وَضَعَتْهَا قَالَتْ رَبِّ إِنِّي وَضَعْتُهَا أُنثَى وَاللّهُ أَعْلَمُ
بِمَا وَضَعَتْ وَلَيْسَ الذَّكَرُ كَالأُنثَى وَإِنِّي سَمَّيْتُهَا
مَرْيَمَ وِإِنِّي أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ الشَّيْطَانِ
الرَّجِيمِ فَتَقَبَّلَهَا رَبُّهَا بِقَبُولٍ حَسَنٍ وَأَنبَتَهَا
نَبَاتًا حَسَنًا وَكَفَّلَهَا زَكَرِيَّا
su.imran aayat 35/36
0 comments:
Post a Comment